Archive for December, 2007

Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai

Saturday, December 29th, 2007

Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai
Tujhe Ai Zindagii Kyaa Ho Gayaa Hai

Badii Zaalim Nihaayat Bevafaa Hai
Ye Duniyaa Phir Bhii Kitanii Khush-Numaa Hai

Har Ik Apane Hii Gam Mein Mubtilaa Hai
Kisii Ke Dard Se Kaun Aashnaa Hai

Mere Naqqaad Merii Shaayarii To
Mere Tuute Huye Dil Kii Sadaa Hai

Kahaan Huun “Shad” Main To Shaad Saa Huun
Vo Shaad-E-Khush-Navaa To Mar Chukaa Hai

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay

Saturday, December 29th, 2007

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay

Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay

Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash’heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay

Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay

Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay

Woh Teray Naseeb Ki Larkieaan

Friday, December 28th, 2007

Woh Teray Naseeb Ki Larkieaan

Kisi Aur Ghar Main Behaa Gayeen

Dil-E-Bekarar Meri Baat Sun

Ussay Bhool Ja

Ussay Bhi Bhool Jaaaaa